यह ब्लॉग खोजें

Hindi suvichar part-51



Log kahate hain dukh bura hota hain jab aata hain roola deta hai, magar hum kahate hai dukh achchha hota hai jab bhi aata hain kuchh n kuchh sikha deta hain.
Intjar karne walon ko sirf utna hi milata hai, jitana koshis karne wale chhod dete hain.
Sadvichar tab tak madhur kalpana bhar bane rahate hain, jab tak unhe kary roop men pramanit nahi kiya jaye.
Kewal wo hi sapane sach nahi hote jo sote vaqt dekhe jaate hain, sapne wo hi sach hote hain jinke liye aap sona hi chhod dete hai.
If you like this thought, Please comment here...

Hindi men suvichar gyan prap karne ke liye:

1. Jo apne niyam nahi banata use doosaron ke niyamon par chalana padata hai. –Haribhaoo upadhyaay

2. Prakriti ka yah sadharan hai jo kabhi nahi badalega hi yogy avyogyon par shasan karte rahenge.-Dayonisiyas

3. Anubhav batata ha ki avashayakta kal men drid nishyy puri sahayata karata hai.-Shekspiyar

4. Jiska nishchay drid aur atal hai wah duniya ko apni soch men dhal sakata hai. - Gete

5. Ham apne achchhe karmon par bhi lajjit ho sakate hain yadi log kewal us nishchy ko dekh sakenge jiski prerana se wo kiye geye hain.-Rochi

6. Sachchi se sachchi aur achchhi se achchhi chaturayee nishchy hai. - Nepoliyan

7. Jo vyakti nishchy kar sakata hai uske liye kuchh asambhav nahi hai.-Emarson


Suvichar4u-More Pages
51  52   53   54   55   56   57   58   59   60  Next

कोई टिप्पणी नहीं: